Monday, November 22, 2010

HATE SPEECH

Hamara islam hamey amno-amaan,akhowat aur bhai charey ka pegham deta hai,jisey hum mukhtasir alfaz main bayan karain to hum keh saktay hain(Muhabbat sub k liye, nafrat kisi se nahi)lekin aaj k dor main shayed yeh baat sub bhooltey ja raheyn hain.Q k hamarey maashray may hate speech buhat barhty ja rahi hai,har shakhs ek doosray ki buraiyon may laga rehta hay aur log dosron ki buraion main itna magan ho jaty hain k un ki achaion ko nazar andaz kar dety hain.Aksar log kehty nazar aty hain k falan bandy ne hamary sath aisa kia ,wesa kia.
Agar dekha jaye to kahyn na kahyn ham sab hate speech may  shamil hain  Q k bazahir ham burai nahi karahy laikin usko sun rahy hain to ye samne wale ko aik tarha se barrhawa dena hay,logo may bardasht ka mada khatam hota jaha hay jis ki waja se hate speech mazeed badh rahi hay,baz log hate speech kar kar k kuch achay  alfaz  kehna hi bhool choke hian.
Hamay chahiye k ham  apnay andar se buraion ko khatam karen aur apni akhrat ki behtri k liaye naik aamaal ko tarjih den aur in fozol si hate speech ko na apnayen.

No comments:

Post a Comment