Har insaan ki zindagi may kuch khwab hote hain jin ki wo takmil chahta hai aur insaan sochta hai k hamari khuahishat sirf ek khwab ban kr na reh jaye jin k porie hone ki wo duayen krta hai.
Wo log buhat khush naseeb hotey hain jin k khwab porey hotey hain,main samajhti hoon k main bhi bhut khush naseeb hoon qk mujhe bachpan se painting sikhne ka shoq tha aur mera ye shoq pora hua,maine fine art may diploma bhi kiya aur do shairy ki kitaboob k title bhi banaye.
Khtey hain insaan ko umeed ka daaman nahi chorna chahiye agar lagan sachi ho to insaan sari mushkilat ka samna kr k apni manzil tak puhach jata hai aur kamiyabi us k qadam chomti hai.
No comments:
Post a Comment