Hamarey muashrey k hawale se baat ki jae to is may kafi tabdeeli aachuki hai.logo may ek dosrey k lite pyar,muhabbat,hamdardi ka jazba kum hota ja raha hai har koi apne baarey main sochta hai.wese kehtey hain k musalman aapas may bhai bhai hain lekin jab ek bhai taklif may hota hai to dosra bhai kahaan kho jata hai pta nahi.
Hamarey mulk may dheshat gardi had darja bharti ja rahi hai jis muashrey may amno sukoon hona chahiye us may har jaga afratafri,dheshatgardi nazar aati hai aye din bum dhamakey,firing,khudkush hamle hote rehtey hain jis se log khud ko kabhi save nahi samajhtey har lamha moat un k sar pe mandrati hai,in sab halat ka nishana aksaro beshter masoom log bantey hain.
Log muashrey may barhti buraiyon ki waja se deen se bhi dor hotey ja rahe hain.Agar hukmrano k hawale se baat kraiyn to pehle k hukmran aur siyasi partiyaan apni awam aur mulk k liye mukhlis nazar aati thi lekin ajkal sab ko apni apni parri hai aisa lagta hai k awam ko sirf apne maqsad k liye istamal kiya ja raha hai.
Hamarey muashrey may change ki zarorat hai lekin aisi tabdeeli ki zarorat hai jis se log braiyon k bajaye achai k rastey per gamzen ho aur mulk may aman qaim ho sake.
No comments:
Post a Comment