Thursday, November 25, 2010
SHADI EK AHAM RISHTA HAI MAZAQ NAHI
Shadi ek aham aur khuobsoorat rishta hota hai koi mazaq nahi kuch dinoo pehle t.v per khabar dikhaiye gye k multaan k ek larhke ne ek hi waqt may do larhkiyoon se shadi ki wo dono kazan thi is shadi se un k ghar walo ko bhi koi aitraaz nahi tha,unka kehna tha k un may khandan se bahir shadi nahi ki jati aur khandaan may larhko ki kami hai is waja se dono gharoo ne is rishtey ko qabool kiya.meri nazar may yeh ek intahayee fuzool khabar hai jis may log kuch zyada hi dilchaspi le rahey hain.logo ko yeh sochna chahiye k hum ek muslim country se taaluq rakhte hain aur hamarey yahaan aaj bhi shadi jese aham rishte ki qadar ki jati hai jahaan tak larhkiyoon k mutmain hone ki baat hai to mujhe lagta k ye waqti khushi hai qk koi bhi sharif aurat apne shohar ko dosri aurat k sath shair krna pasand nahi krti lihaza hamey is fuzool khabar ki traf dhyan nhi dena chahiye.
MAA,BAAP
Maa thandi chaon hai tobaap ghana drakht hai.
Maa k pairoon tale jannat hai to baap k pehlu may jannat hai.
Maa k baghair ghar soona lagta hai to baap k baghair zindagi veeran hai.
Maa muhabbat ka deen hai to baap shafqat ka samandar hai.
Maa tuhfa khudawandi hai to baap rehmate khudawandi hai.
Meri maa mera fakhar hai aur baap mera gharoor.
Meri maa mera ishq hai to baap mera junoon hai.

Wednesday, November 24, 2010
REPORT(COLORS OF PAKISTAN)
Jinah university braye-khwateen may 12oct ko(Department of mass comm)ki janib se cultral show munaqid kiya gya,jis may B.S4th year ki talbaat ne colors of pakistan per apni bharpor kaarkardagi ka muzahira kya,is show ka maqsad .pakistani sqafat ko roshnas krwana tha.Is show may asatiza aur talibaat ki barri tadaad ne shirkat ki.
Is show may blochistan,sindh,khaiber pakhtoonkhwah,gilgit aur kashmir ki rangarang sqafat ko intahaye khubsoorat andaz may dikhaya gya.Taalibaat ne her soobey ki cheezoo k hisab se istal bhi lagaye aur mulboosat ki numaish bhi lagai gye.Show k ikhtataam per talbaat ko un k is kaam per sraha gya.
letter
Assalam alikaum,
kaise ho tum ,umeed hy k theek hoge.kal mey jab apni dairy par rahi ti to us mey sey ek tasveer giri aur mey apney purani yaadun mey chali gae jab tum aur mey ghantun ph pey, chat pey aur college mey bhat k baten kara karty thy.waqt par laga k urh jaty thy par hamri batun ka silsila khatm na hota, asa lagta ta jasey batun ka samadar khabi kohshiq nai hoga..... tumhara muskurana aur hansty hansty roo deyna aur sath muhjy b rola deyna aj bhi yad hy ... tum kiya abhi b wasey he hansty hansty roo deyti hoo aur tumko yad hy tumhari yahi bat muhjy khuf zada kar deyti ti k na jany aisi kiya bat hy tumharey dil mey k tum hansty hansty roo deyti ho aur aj tak muhjy woh waja samj nai ae ..hum ney sath zindgi k har mausam guzarey han, dyuniya k char mausaam ,khushi ghum,udasi aur shadabi..mey tumko abhi b bht yad karti hun aur isi umeed mey ho k tum muhjy phir mil jao ge ..mey tumko bht yaad karti hun...
Regards,
mey.....

DREAM COME TRUE
Har insaan ki zindagi may kuch khwab hote hain jin ki wo takmil chahta hai aur insaan sochta hai k hamari khuahishat sirf ek khwab ban kr na reh jaye jin k porie hone ki wo duayen krta hai.
Wo log buhat khush naseeb hotey hain jin k khwab porey hotey hain,main samajhti hoon k main bhi bhut khush naseeb hoon qk mujhe bachpan se painting sikhne ka shoq tha aur mera ye shoq pora hua,maine fine art may diploma bhi kiya aur do shairy ki kitaboob k title bhi banaye.
Khtey hain insaan ko umeed ka daaman nahi chorna chahiye agar lagan sachi ho to insaan sari mushkilat ka samna kr k apni manzil tak puhach jata hai aur kamiyabi us k qadam chomti hai.
CHANGE
Hamarey muashrey k hawale se baat ki jae to is may kafi tabdeeli aachuki hai.logo may ek dosrey k lite pyar,muhabbat,hamdardi ka jazba kum hota ja raha hai har koi apne baarey main sochta hai.wese kehtey hain k musalman aapas may bhai bhai hain lekin jab ek bhai taklif may hota hai to dosra bhai kahaan kho jata hai pta nahi.
Hamarey mulk may dheshat gardi had darja bharti ja rahi hai jis muashrey may amno sukoon hona chahiye us may har jaga afratafri,dheshatgardi nazar aati hai aye din bum dhamakey,firing,khudkush hamle hote rehtey hain jis se log khud ko kabhi save nahi samajhtey har lamha moat un k sar pe mandrati hai,in sab halat ka nishana aksaro beshter masoom log bantey hain.
Log muashrey may barhti buraiyon ki waja se deen se bhi dor hotey ja rahe hain.Agar hukmrano k hawale se baat kraiyn to pehle k hukmran aur siyasi partiyaan apni awam aur mulk k liye mukhlis nazar aati thi lekin ajkal sab ko apni apni parri hai aisa lagta hai k awam ko sirf apne maqsad k liye istamal kiya ja raha hai.
Hamarey muashrey may change ki zarorat hai lekin aisi tabdeeli ki zarorat hai jis se log braiyon k bajaye achai k rastey per gamzen ho aur mulk may aman qaim ho sake.

Monday, November 22, 2010
HATE SPEECH
Hamara islam hamey amno-amaan,akhowat aur bhai charey ka pegham deta hai,jisey hum mukhtasir alfaz main bayan karain to hum keh saktay hain(Muhabbat sub k liye, nafrat kisi se nahi)lekin aaj k dor main shayed yeh baat sub bhooltey ja raheyn hain.Q k hamarey maashray may hate speech buhat barhty ja rahi hai,har shakhs ek doosray ki buraiyon may laga rehta hay aur log dosron ki buraion main itna magan ho jaty hain k un ki achaion ko nazar andaz kar dety hain.Aksar log kehty nazar aty hain k falan bandy ne hamary sath aisa kia ,wesa kia.
Agar dekha jaye to kahyn na kahyn ham sab hate speech may shamil hain Q k bazahir ham burai nahi karahy laikin usko sun rahy hain to ye samne wale ko aik tarha se barrhawa dena hay,logo may bardasht ka mada khatam hota jaha hay jis ki waja se hate speech mazeed badh rahi hay,baz log hate speech kar kar k kuch achay alfaz kehna hi bhool choke hian.
Hamay chahiye k ham apnay andar se buraion ko khatam karen aur apni akhrat ki behtri k liaye naik aamaal ko tarjih den aur in fozol si hate speech ko na apnayen.

Sunday, November 21, 2010
MAINE MASS COM KIYON LIYA
Duniya may har insan apni khuahishat ki takmil chahta hai aur usay paaney k liye har mumkin koshish krta hai,maine bhi yeh subject muntakhib kr k apne shoq ko pora krne ki koshish ki hai.mujhe is subject ko parhne ka barra shoq tha aur main sochti thi k is subject ko parh k sahafat k baare may jan sakon gi,is k ilawa mujhe artical likhne ka behad shoq tha aur mujhe lagta tha k main is feild may aakr apne shoq ko baasani pora kr sakti hoon,aur sub se bari baat yeh k jab main ye sochti thi k main Shoba,Ablagh-Aamaa ki student k naam se jani jaon gi to mujhe behad khushi mehsoos hoti thi.Inhi wujohaat ki binaa per maine subject mass com ka intakhab kiya.
Subscribe to:
Posts (Atom)