preetygirl
Thursday, November 25, 2010
SHADI EK AHAM RISHTA HAI MAZAQ NAHI
Shadi ek aham aur khuobsoorat rishta hota hai koi mazaq nahi kuch dinoo pehle t.v per khabar dikhaiye gye k multaan k ek larhke ne ek hi waqt may do larhkiyoon se shadi ki wo dono kazan thi is shadi se un k ghar walo ko bhi koi aitraaz nahi tha,unka kehna tha k un may khandan se bahir shadi nahi ki jati aur khandaan may larhko ki kami hai is waja se dono gharoo ne is rishtey ko qabool kiya.meri nazar may yeh ek intahayee fuzool khabar hai jis may log kuch zyada hi dilchaspi le rahey hain.logo ko yeh sochna chahiye k hum ek muslim country se taaluq rakhte hain aur hamarey yahaan aaj bhi shadi jese aham rishte ki qadar ki jati hai jahaan tak larhkiyoon k mutmain hone ki baat hai to mujhe lagta k ye waqti khushi hai qk koi bhi sharif aurat apne shohar ko dosri aurat k sath shair krna pasand nahi krti lihaza hamey is fuzool khabar ki traf dhyan nhi dena chahiye.
MAA,BAAP
Maa thandi chaon hai tobaap ghana drakht hai.
Maa k pairoon tale jannat hai to baap k pehlu may jannat hai.
Maa k baghair ghar soona lagta hai to baap k baghair zindagi veeran hai.
Maa muhabbat ka deen hai to baap shafqat ka samandar hai.
Maa tuhfa khudawandi hai to baap rehmate khudawandi hai.
Meri maa mera fakhar hai aur baap mera gharoor.
Meri maa mera ishq hai to baap mera junoon hai.
Maa k pairoon tale jannat hai to baap k pehlu may jannat hai.
Maa k baghair ghar soona lagta hai to baap k baghair zindagi veeran hai.
Maa muhabbat ka deen hai to baap shafqat ka samandar hai.
Maa tuhfa khudawandi hai to baap rehmate khudawandi hai.
Meri maa mera fakhar hai aur baap mera gharoor.
Meri maa mera ishq hai to baap mera junoon hai.
Wednesday, November 24, 2010
REPORT(COLORS OF PAKISTAN)
Jinah university braye-khwateen may 12oct ko(Department of mass comm)ki janib se cultral show munaqid kiya gya,jis may B.S4th year ki talbaat ne colors of pakistan per apni bharpor kaarkardagi ka muzahira kya,is show ka maqsad .pakistani sqafat ko roshnas krwana tha.Is show may asatiza aur talibaat ki barri tadaad ne shirkat ki.
Is show may blochistan,sindh,khaiber pakhtoonkhwah,gilgit aur kashmir ki rangarang sqafat ko intahaye khubsoorat andaz may dikhaya gya.Taalibaat ne her soobey ki cheezoo k hisab se istal bhi lagaye aur mulboosat ki numaish bhi lagai gye.Show k ikhtataam per talbaat ko un k is kaam per sraha gya.
Subscribe to:
Posts (Atom)