Moulaana room se kisi ne duniya ki haqeeqat pochi to aap ne farmaya'.'Dunya ki misaal aaisi hai k ek shakhs jungle may chale jata hai.Wo dekhta hai k us k peeche shair(Lion)aaraha hai lihaza wo bhagta chala jata hai.Wo kya dekhta hai aage ek garrha hai.us ne chaha k garrhe may gir ker apni jaan bachaye lekin garrhe may usay bara sa''Azdha'' nazar aaya.Ab aage azdhey ka khouf aur peeche(Sher) ka dar.....Itne may usay darakht ki ek tehni nazar aayee,jise pakarr ker wo darakht per charr gya magar darakht per charrne k bad usay pata chalta hay k darakht ko jarr se do siyah aur safaid chuhay(Black aur white Rat)kaat rahey hain.Wo buht dara k agar darakht ki jarr kat gyee to phir main neechay gir jaon ga aur phir azdhay aur shair ka luqma bannay may deyr nahee lagey gi.Ittafaqan usay darakhat per ek shehat(Honey)ka chataa nazar aaya aur wo usay peenay may itna kho gya k usay (Shair,Azdhay aur Rats ka khayaal na raha.Itne may wo neechay gir gya. Shair ne usay cheerr pharr k garrhay may gira diya aur phir wo azdhay k mu may chala gya.''
Jungle se muraad yeh dunya,Shair mout hai k jo peechay lagi hui hai.Garrha Qabr hai,jo is k aagay hai aur azdha is k bud aamaal hain.siyah aur safaid chuhay(Rats)din aur raat hain,Darakht umar hai aur shehat(Honey)ka chataa dunya- faani se ghafil ker denay wali lazzat hai k insaan dunya ki fikr may mout aur aamaal ki jawabdahi waghaira sub bhool jata hai aur phir achaanak usay moat aajati hai.
No comments:
Post a Comment